Dil Pe Kalme Ki Zarab Laga Lyrics
- Dil pe qalme ki zarb laga
- la ilaaha illallah
- dil ke marz ki hai yeh dawa,
- laa ilaaha ilallah
- sab kaynaat da khaliq Allah,
- tera mera malik Allah
- Sab ka raaz hai eik khuda,
- Laa ilaaha illallah
- Us ka har dam zikr kiya kar,
- apni mout ka zikr kiya kar
- Akhir tera maqaam banaa,
- laa ilaaha illallah
- our zikr to subho shaam kiya kar,
- har waqt us ka naam liya kar
- uske naam mein kitna mazaa
- laa ilaaha illallah.